Monday, 10 December 2007

Ajeeb Si

Andekhi hawa ke rang,
Shaant parwat ki batein,

Chaand ki garm saanse,
Sooraj ki sard aanhen,

Sun ne mein shayad ajeeb,
Namumkin se khayaali jazbaat.

Magar,
Mujhe ye lagte hain mumkin,
Inhi khayalon mein khushi milti hai.
Bas inhin mein rehne ki wajah banata hoon.

In dinon bas yehi to who jagah hai,
Jahan tumse mil pata hoon.

Sunday, 9 December 2007

Chahta Hoon

Hai khula mera aasmaan
Ooncha udna chahta hoon.

Hai tez meri nadiya bahut,
Us sa tez behna chahta hoon.

Pawan meri chalti hai thandi
Waisa sheetal hona chahta hoon.

Mera suraj bada hai roshan,
Roshan main bhi hona chahta hoon.

Mera chand aaj poora hai,
Ab poora ban na chahta hoon.

Magar ye kavita poori kaise karoon?
Apni prerna apne saath chahta hoon.